Laila majnu movie thoughts

 


.

lailamajnumovie2018


Laila majnu!
Ye sirf ek kahani nahi, ehsaas hai!
Milna ya na milna !!!
Isi jazbat par pyaar tika hai.
Ab wo milna asliyat me ho, ya khwaab me!
Kyaa फर्क padta है??

.
.
.
.
.
.
.

jab duniya hat gai, wo waqt nikal gaya!
Jab tak wo duniya hi ban gai meri,khayalo ki duniya,
Tab wo mili...

Is milne se ab mujhe fark nahi pdta!
Kyunki ab wo mere pass hi hai,
sath hai mere!
Uska asliyat me hona ya na hona ab meri khushi nahi chin sakta..

In khyalo ki duniya ki khas bat ye hai ki Me ab har pal uske sath hu, uske sath reh sakta hu.
Koi duniya ke किंतु-परंतु, रीतिरिवाज़ mujhe uske har pal sath hone se nahi rok sakte।

Muje malum hai, hame ab koi zuda nahi kar skta,
Maut bhi nahi!!

Mere liye ab asliyat aur khyaal ek ho chuke hai.
Duniya ki nazaro me main pagal hi sahi,
Par meri nazaro me duniya pagal hai, uljhi hui hai!
Is uljhan se pare hai hamara pyar laila majnu ka pyaar.

Wo mil bhi jaye to kya hai, wo na mile to bhi kya!!!

Ab wo ehsaas ya to khtm ho chuka hai,
Yaa sirf wahi ek ehsaas bacha hai!
Kisi aur ehsaas ki ab jagah hi nahi rahi...

Main khali hu usse ya pura usme sama chuka!
Mujhe kisi bat ki koi khushi nahi, uske alawa!
Aur kisi baat ka koi gham nahi, uske alawa. ..

Me bas beh raha hu, us chashme ki tarah,
Use sath liye!
Mere khyaal ko mere ishq ko mujse ab koi nahi chin sakta duniya bhi nahi.

Mai aur wo ab ek hai, mere khyaal me!
Mujhe ab bas behne do, jine do aisehi,,

Tumhari nazar me pagalo ki tarah!
Meri nazar me diwane ki tarah!!!!!


-तन्वी शर्मा
©10viwrites_

Comments

Post a Comment

Deep

Popular Posts